Saturday, August 16, 2008

Poetry SMS (65)

Kitney saawan
kitney sawan beet gye hain!
is sawan ko atey atey tum ek hi baat kiya kertey they
abh ki baar ki pagal parwa
tumko na tarpaye gi abh ki bar rim jhim barkha
tumko nhi sataye gi abh ki baar kuch aisa hoga??
tum aur mai band khirki se ya rim jhim barkha dekhengey
Wo aisa sawan ayega??
hum dono mil k bhegen gey!
lekin kitney sawan beet gaye is sawan ko atey atey 00923333194539


mosam mosam
mosam mosam ankhon ko ik sapna yaad raha
sadian jis main simat gaye wo lamha yaad raha
kos-e-kaza ke rang the satoon us ke lahje main
sare mehfil bhool gay wo chehra yaad raha…!!!


Akhan di benuri changi nahin hundi
Akhan di benuri changi nahin hundi,
Dostan ton duri changi nahin hundi,
Kade kade milya vi kar yaara,
Har vele SMS naal gal puri nahin hundi


PEHLI NAZAR
PEHLI NAZAR ,
PEHLA MILAN BARNEY LAGI
YEH LAGAN
BOLEY BINA
REHNA SAKOON LEKIN
TUJHE KEH NA SAKOON MERI JAAN
KABHI TU
SUNEY ANKHEIN KYA KEHTI HAIN
KABHI KABHI PYAAR MEIN
THORI KHUSHI
,THORA
GHUM
KOI CHALEY SUNG HER KADAM
KABHI PYAAR
MEIN…………….


mohhabat kya hai
mohhabat kya hai ?
mohhabat ek joonun hai jo har kisi per sawar hota hai, ek umar hoti hai jab kisi ko kisi se payaar hota hai
i love u rajni (shankar)


kya karoon ab koii bhi acha nahen lagta mujhe
kya karoon ab koii bhi acha nahen lagta mujhe
tu bhi pehle ki tarha apna nahen lagta mujhe
ab teri baten mere dil mein otarti hi nahen
tu wo hi hai par tera lehja nahen lagta mujhe
tu to ab adhe badan se sath chalta hai mere
tere shano pe tera chehra nahen lagta mujhe
tu kabhi taqseem karta tha hawaen charsoo
ab tere bhi paas ek jhonka nahen lagta mujhe
ab lifafe se teri khushbo nahen ati mujhe
khat bhi tere hath ka likha nahen lagta mujhe


Ankhon ko intizar ka de ker hunar chala gaya
Ankhon ko intizar ka de ker hunar chala gaya
chaha tha aik shaks ko jane kidher chala gaya
din ki wo Mehflain gaye raaton ke rut-jage gaye
koi samait kar mere shaam-o-sahar chala gaya
jhonka hai aik bahar ka rung-e-khayal yaar bhi
her-soo bikher bikher gaye khushbo jidher chala gaya
is ke he dum se dil main aaj dhoop bhi chandni bhi hia
de ke wo apni yaad ke shams-o-qamar chala gaya
kocha ba kocha dar-badar kab se bhatuk raha hai dil
hum ko bhula ke rah wo apni dagar chala gaya


Sau khaluus baton mein,sab karam khayaalon mein
Sau khaluus baton mein,sab karam khayaalon mein,
Bass zra wafaa kamm hai terey shehar vaalon mein,
Pehli baar nazron nay chaand boltay dekha,
Hum javaab kya detey kho gaye sawaalon mein,
Meri aankh kay taarey abb na dekh paaoogay,
Raat kay musaafir thay kho gaye ujaalon mein,
Jaisay aadhi shabb kay baad chaand neend mein chaunkay,
Voh gulaab kee zumbish unn siyaah baalon mein,


Chahay jitna bulaao ge wapas na aaon ga main Aasmaan ki banhoon mein sama jaon ga
Chahay jitna bulaao ge wapas na aaon ga main
Aasmaan ki banhoon mein sama jaon ga main
Dekhna yunhi hanstay khailte yunhi muskuratay hoye
Kisi rauz chup chaap se chala jaon ga main
Shayad k ho jaye meray liye bhi koi aankh pur num
Shayad kisi ko ashkon ka tuhfa de jaon ga main
Bohat tarpa hoon main sab k kareeb reh reh ke
Ab durr ja ke sab ko tarpaon ga main……
Zara zara si baat pe ye rooth jaati hay mujh se
Dekhna kisi rauz zindagi se rooth jaon ga main..!


Apni Merzi Say Juda Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi Shayad Ab K Bewafa Tu Bhi
Apni Merzi Say Juda Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Shayad Ab K Bewafa Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Dekhna Hum Ek Din Gard-e-Safar Hojayein Gay
Rastoun Say Ashana Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Gardish-e-Halaat Se Bas Kat Gaye Hain Rastay
Qabil-e-Qaid-o-Saza Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Kia Khaber Thi Is Qadar Na’ashana Ho Jayein Gay
Ajj Kal Pechanta Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Fasaloun Say Bhi Guzarna Phir Zara Sa Dekhna
Aisa Lagta Hai Khafa Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Ek Dojay Ki Buhat Tareef Kerna Jabaja
Maan Lay Dil Ka Bura Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi

No comments: