Friday, August 15, 2008

Urdu SMS (35)

Apni Merzi Say Juda Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi Shayad Ab K Bewafa Tu Bhi
Apni Merzi Say Juda Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Shayad Ab K Bewafa Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Dekhna Hum Ek Din Gard-e-Safar Hojayein Gay
Rastoun Say Ashana Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Gardish-e-Halaat Se Bas Kat Gaye Hain Rastay
Qabil-e-Qaid-o-Saza Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Kia Khaber Thi Is Qadar Na’ashana Ho Jayein Gay
Ajj Kal Pechanta Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Fasaloun Say Bhi Guzarna Phir Zara Sa Dekhna
Aisa Lagta Hai Khafa Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi
Ek Dojay Ki Buhat Tareef Kerna Jabaja
Maan Lay Dil Ka Bura Tu Bhi Nahi Main Bhi Nahi


Woh Apne Ishq Mein Kaisa Kamal Rakhta Hai , Ke BeRukhi Mein Bhi, Mera
Woh Apne Ishq Mein Kaisa Kamal Rakhta Hai ,
Ke BeRukhi Mein Bhi, Mera Khayal Rakhta Hai ..
Jo Aaj Mera Nahi Hai Woh Kal Mera Hoga ,
Kay Har Zamana Urooj-O-Zawal Rakhta Hai ..
Ajab Nahi Woh Jahan Bhar Ko Bewafa Samjhe ,
Nazar Mein Meri Wafa Ki Misaal Rakhta Hai ..
Kahan Talak Koi Dast-E-Karam Ko Zehmat De ,
Tamaam Sehar Hi Dast-E-Sawaal Rakhta Hai ..
Meri Uraan K Aagay Hai Kis Qadar Be-Bas ,
Yeh Aasman, Jo Sitaron Ka Jaal Rakhta Hai ..
Tera Khayal Hi Kuch Meherban Hai Verna ,
Jahaan Mein Kaun Kisi Ka Khayal Rakhta Hai


Kaha tha kis ne ke ahad-e-wafa karo uss se Jo yoon kiya hai to phir kyun
Kaha tha kis ne ke ahad-e-wafa karo uss se
Jo yoon kiya hai to phir kyun gila karo uss se
Ye ahl-e-baz tunak hausala sahi phir bhi
Zara fasana-e-dil ibtida karo uss se
Yeh kya ke tum hi gham-e-hijr ke fasaney kaho
Kabhi to uss ke bahaney suna karo uss se
Naseeb phir koi taqreeb-e-qarb ho ke na ho
Jo dil mein ho’n wohi baatein kiya karo uss se
Faraz tark-e-ta’alluq to khair kiya hoga
Yehi bahut hai k kam kam mila karo uss se


“Chaahhat Ka Rung Tha Na Wafa Ki Lakeer Thii Qaatil Ke Haath Main Too Hina Ki
Chaahhat Ka Rung Tha Na Wafa Ki Lakeer Thii
Qaatil Ke Haath Main Too Hina Ki Lakeer thii
Khush Hoon Ke Waqt-e-Qatal Mera rung Surkh Tha
Merey Labon Pe Too Harf-e-Dua Ki Lakeer Thii
Main Karwaan Ki Rah Samajhta Raha Jisse
Sehra Ki Reit Pe Woh Hawa Ki Lakeer Thii
Sooraj Ko Jis Ne Shab Ke Andheiron Main Gum Kia
Mouj-e-Shafaq Na Thii Woh Qaza Ki Lakeer Thii
Guzra Hai Shab Ko Dasht Se Shaid Woh Pardah Daar
Her Naqsh-e-Pa Ke Saath Rida Ki Lakeer Thii
Kal Uss Ka Khat Mila Ke Saheefa Wafa Ka Tha
Mohsin Her Ek Satar Haya Ki Lakeer Thii


Zindghi shuru Hoti Hai Rishton Se, Rishty shuru Hote Hain Pyar Se, Pyar Shuru
Zindghi shuru Hoti Hai Rishton Se,
Rishty shuru Hote Hain Pyar Se,
Pyar Shuru Hota Hai Apno Se,
Aur Apny Shuru Hote Hain "Aap" Se.
I lOvE yOu SwEeT hEaRt.


Aur kitna intezar karu tere sms ka
Mulk ki bhi ek sarhad hoti hai,
Bacche ki bhi ek zid hoti hai,
Aur kitna intezar karu tere sms ka,
arre yaar kanjusi ki bhi ek haad hoti hai.


Bachpan K Dukh Bhi Kitne Ache The Tub Tu Sirf Khilonne Toota Karte The Woh
Bachpan K Dukh Bhi Kitne Ache The
Tub Tu Sirf Khilonne Toota Karte The
Woh Khushian Bhi Kaisi Khushian Thi
Titli K Par Noch Kar Uchlla Karte The
Paon Mar K Khud Barish K Pani Mai
Apni Nao App Daboya Karte The
Ab Tu Aik Ansuon Bhi Ruswa Kar Jata Hai
Bachpan Mai Dil Khol K Roya Karte The


Bhujti Nahi Bhujane Se Ye Aag Bhi Apni Apni Hi Aag Main Khud Jal Rahe Hain
Bhujti Nahi Bhujane Se Ye Aag Bhi Apni
Apni Hi Aag Main Khud Jal Rahe Hain Hum
Jane Kaha Jaiy Ga Ye Jungle Sa Rasta
Maloom Bhi Nahi Hai Magar Chal Rahain Hain Hum


Chatakh
1 parents apnay betay k liye aisa
robot laye jo jhoot bolnay per thapar marta hay.
Son:Abu aj mei bemar hon school nahi jaonga
Chatakh!
Baap:tumne jhot bola, me jub tumhare
jitna tha kabhi jhoot nahin bolta tha
Chatakh!
Mom:Kia howa?
Baap:Yeh chintu jhoot bolta hai
MoM:Zahir hy apka hi beta hay..
Chatakh…!!!:-)

Aankho Ke Saamne Kal, Jo Aapka Rumaal Aa Gaya
Aankho Ke Saamne Kal, Jo Aapka Rumaal Aa Gaya,
Kaise Miloon Phir Aapse, Ye Phir Sawaal Aa Gaya,
Uutth To Gaye Hi The Kadam Aapke Ghar Ki Taraf,
Magar Dil Ko Aapki Dee Kasam Ka Khyaal Aa Gaya

No comments: